sach bataoonga
yakeen kar sach mein bataoonga,
yakeen kar ab na chupaonga,
chahe jeevan ke saare panne nagn ho jaye,
yah vo panne rakh mein hi kyu na tabdil ho jaye,
par mein sab bataunga,
kise pta kab aur kahan meri peedaien khatm hongi,
par ab beparwah ho jaoonga,
aur kuch na chupaonga,
sab kuch sach bataoonga,
koshish karunga shabd mere kuch bayaan kar sake,
kam pad jayenge toh aankhon ko manaoonga,
na maani aankhein ,
toh khud hi batlaoonga,
agar phir bhi hal na nikla ,
toh yuhi likhta chala jaoonga,
par sab sach bataoonga,
mujhe nahi lagta meri indriyaan mera bayaan kar paengi,
yeh toh waqt ki mohtaaz hai,
waqt ke saath kamjor pad jaengi,
bas reh jaegi toh shwaas,
dehakti hui ,machalti hui ,sulagti hui,
jo aatma swaroop le legi,
par khatm na ho paegi,
shayad apne shabdo mein us sulagti hui shwaas ko daba jaoonga,
kuch batane ki koshish karunga,
kuch jatane ki sazish karunga,
ho sake toh padh lena mere alfazo ko,
ho sake dhoond lena unme shwaaso ko,
phir bhi jaan na paaein agar tum mera sach,
toh dubara laut ke aaonga,
par sach toh bataoonga,

No comments:
Post a Comment